Na jhoola na khatola 108

NA JHOOLA NA KHATOLA

TUNE: Away In A Manger

Lyricist: E. L. Gore

न झूला न खटोला अपना सर रखने को

न झूला न खटोला अपना सर रखने को
प्यारे यीशु के लिये चरनी में तो थी
आसमान के सब सितारे देखते जाते उसको
छोटा यीशु ख़ुदावन्द घास पर सोता है जो

जब बैलों की आवाज़ से बच्चा जाग उठता है
छोटा यीशु ख़ुदावन्द कभी रोता न है
ऐ यीशु सारे दिल से करता प्यार मैं तुझको
निगाह कर तू आसमान से सुबह तक हाफ़िज़ हो

ऐ यीशु रह तू हर रोज़ और हर वक्त मेरे पास
सदा प्यार कर तू मुझे मेरी यह इल्तीमास
सब बच्चों पर हमेशा यीशु बरक़त बरसा
हमें अपने साथ रहने को तू लायक बना

Na jhoola na khatola

Na jhoola na khatola
apana sar rakhne ko
pyaare Yeshu ke liye
charnee mein to thee
aasmaan ke sab sitaare
dekhte jaate usko
chhota Yeshu Khudaavand
ghaas par sota hai jo

Jab bailon kee aavaaz se
bachcha jaag uthta hai
chhota Yeshu Khudaavand
kabhee rota na hai
ai Yeshu saare dil se
karta pyaar main tujhko
nigaah kar too aasmaan se
subah tak haafiz ho

Ai Yeshu reh too har roz
aur har waqt mere paas
sada pyaar kar too mujhe
meree yeh ilteemaas
sab bachchon par hamesha
Yeshu baraqat barasa
hamen apne saath rahne ko
too laayak bana

Na janta kyon fazal ajeeb 268

NA JAANTA KYON FAZAL AJEEB

TUNE: I Know Not Why God’s Wondrous Grace

Lyricist: N. K. Mukherjee

न जानता क्यों फ़ज़ल अजीब

न जानता क्यों फ़ज़ल अजीब
आ पहुंचा मेरे पास
क्यों मुझ बदकार को यीशु ने
ख़ून से किया ख़लास

पर मैं अपने मसीह को जानता
और यह भी मानता, कि वह है क़ादिर
कि मेरी अमानत रखे
रक्खे सालिम ला जवाल

न जानता क्यों कर आया यह
अजीब मज़बूत ईमान
ख़ुदा की बात पर जिससे अब
इस दिल में है अमान

न जानता क्यों कर रूह ए पाक़
मुजरिम ठहराता है
दिखाता है सिर्फ यीशु को
ईमान उगाता है

न जानता मेरे लिये अब
है दु:ख या सुख तैयार
न जानता राह में होंगे खार
या होंगे दिन बहार

न जानता रब्ब कब आवेगा
बीच दिन, दोपहर, रात
कौन जानता है कि हवा में
हो उससे मुलाक़ात?

Na jaanata kyon fazal ajeeb

Na jaanata kyon fazal ajeeb
aa pahuncha mere paas
kyon mujh badkaar ko Yeshu ne
khoon se kiya khalaas

Par main apne masih ko jaanata
aur yah bhee maanata, ki voh hai qaadir
ki meree amaanat rakhe
rakkhe saalim la javaal

Na jaanata kyon kar aaya yeh
ajeeb mazboot eemaan
Khuda kee baat par jisse ab
is dil mein hai amaan

Na jaanata kyon kar rooh e paaq
mujrim thehraata hai
dikhaata hai sirph Yeshu ko
eemaan ugaata hai

Na jaanata mere liye ab
hai dukh ya sukh taiyaar
na jaanata raah mein honge khaar
ya honge din bahaar

Na jaanta rabb kab aavega
beech din, dopahar, raat
kaun jaanata hai ki hava mein
ho usse mulaaqaat?