Hum teen raja mashrik ke hai 102

HUM TEEN RAAJA MASHRIK KE HAIN

TUNE: We Three Kings Of Orient Are

Lyricist: 

हम तीन राजा मशरिक के है

हम तीन राजा मशरिक के है
सिज़दा करने हम आये है
सफ़र दूर का पीछा नूर का
कर के हम आये है

ऐ रब्ब के तारे आजूबा
शाही तारा ख़ुशनुमा
आगे चल के राह दिखा
कि क़ामिल नूर तक पहुँचा

सोना लाया मैं ऐ बादशाह
बैतलहम है जिसकी दरगाह
तू ताजदार है ये आश्कार है
तू है अबदी शाहनशाह

मैं लोबान भी साथ लाया हूँ
ताकि तुझको नज़र में दूं
दिल ओ जान से और ईमान से
तुझको ख़ुदा मानूं

मुर्र मैं लाया मौत का निशान
क्योंकि देगा तू अपनी जान
दु:ख उठाके ख़ून बहा के
होवेगा मसीह कुरबान

Hum teen raaja masharik ke hai

Hum teen raaja masharik ke hai
sizada karne hum aaye hai
safar door ka peechha noor ka
kar ke hum aaye hai

Ai rabb ke taare aajooba
shaahee taara khushnuma
aage chal ke raah dikha
ki qaamil noor tak pahuncha

Sona laaya main ai baadshaah
bethlehem hai jiskee dargaah
too taajdaar hai ye aashkaar hai
too hai abdee shaahanshaah

Main lobaan bhee saath laaya hoon
taaki tujhko nazar mein doon
dil o jaan se aur imaan se
tujhko Khuda maanoon

Murr main laaya maut ka nishaan
kyonki dega too apnee jaan
dukh uthaake khoon baha ke
hoga masih kurabaan

Hum aaj prabhu Yeshu ko

हम आज प्रभु यीशु को

हम आज प्रभु यीशु को
सिजदा करने चले
पापों को मन फिरा कर
खुद को अर्पण करें

ख़ून की वो धारा
बहती थी क्रूस जो
सिर पे कांटों का
ताज भारी वो
हम आज उसी धारा से
साफ खुद को करें

तन्हा न छोडूंगा
वादा उसने किया
मौत की हो वादी
मैं न डरूंगा
हम आज उसी यीशु के
पीछे पीछे चलें

फिर से आयेगा
बादलों पे यीशु
साथ हमें भी ले ले
अपने ऐ यीशु
हम आज उसी यीशु का
सबसे चर्चा करें

Hum aaj Prabhu Yeshu ko

Hum aaj prabhu Yeshu ko
sijada karane chale
paapon ko man phira kar
khud ko arpan karen

Khoon kee vo dhaara
behtee thee kroos jo
sir pe kaanton ka
taaj bhaaree vo
hum aaj usee dhaara se
saaf khud ko karen

Tanha na chhodoonga
vaada usne kiya
maut kee ho vaadee
main na daroonga
hum aaj usee Yeshu ke
peechhe peechhe chalen

Phir se aayega
baadlon pe Yeshu
saath humen bhee le le
apne ai Yeshu
hum aaj usee Yeshu ka
sabse charcha karen

Hum aaye hain ibadat ko 23

हम आए हैं इबादत को

हम आए हैं इबादत को
ऐ रब्ब हमारे बीच में हो
तू बंदगी पर बरकत दे
कि होवे रुह और रास्ती से

हमारे दिल में उल्फत भर
और अपनी तरफ रुजू कर
दुनियाबी ख़्यालों से बचा
और अपनी बातों पर लगा

क़लाम जब पढ़ा जावे तब
तासीर तू उस की दे ऐ रब्ब
कि अपने कान से सुनें जो
हम दिल से माने उसी को

गीत गाने में जब हों मशगूल
हमारा गाना हो मक़बूल
जब सुनें वाज़ की बातों को
हमारे दिल पर असर हो

जब वक्त हो दुआ मांगने का
तू सुन हमारी ऐ खुदा
शुक्रगुजारी सुन तू ले
गुनाह हमारे माफ़ कर दे

तू हो हमारे दरमियान
तू दे हम सभों को ईमान
डाल अपनी रूह कलीसिया पर
और सबके दिल आसूदा कर

Ham áe hain ‘ibádat ko

1 Ham áe hain ‘ibádat ko,
Ai Rabb, hamare bích men họ;
Tú bandagi par barakat de,
Ki howe rúh aur rástí se.

2 Hamáre dil men ulfat bhar,
Aur apní taraf rujú’ kar;
Dunyáwí khayálon se bachá,
Aur apní báton par lagá.

3 Kalám jab parhá jáwe,
tab Tásír tú us kí de, ai Rabb!
Ki apne kán se sunen jo
Ham dil se mánen usí ko.

4 Git gáne men jab hon mashgúl,
Hamárá gáná ho maqbúl;
Jab sunen wa’z kí báton ko,
Hamáre dil par asar ho.

5 Jab waqt ho du’á mangne ká
Tú sun hamárí, ai Khudá;
Shukrguzárí sun tú le;
Gunáh hamáre mu’áf kar de.

6 Tú ho hamáre darmiyán.
Tú de ham sabhon ko ímán;
Dál apná Ruh kalísiyá par,
Aur sab ke dil ásúda kar.

-J. F. Ullman.

Hazaara bachche khade hai 412

HAZAARA BACHCHE KHADE HAIN

TUNE: Around The Throne Of God in Heaven

Lyricist: Mrs. Humphrey

हजारहा बच्चे खड़े हैं

हजारहा बच्चे खड़े हैं ख़ुदा के तख्त के पास
मोहब्बत से वे भरे हैं और पाते खुश मिरास
गाते सना सना सना हो ख़ुदावन्द की

साफ होकर सब गुनाहों से वह रहते हैं खुशहाल
प्यारे हैं ख़ुदावन्द के वे गाते हैं निहाल
गाते सना सना सना हो ख़ुदावन्द की

किस तरह पाया बच्चों ने वह उम्दा पाक मकाम
वे बच के सब तकलीफों से खुश रहते हैं मुदाम
गाते सना सना सना हो ख़ुदावन्द की

इस सबब से की यीशु ने बहाया अपना खून
वे धोके उस में फजल से आसमान पर हैं ममनून
गाते सना सना सना हो ख़ुदावन्द की

ख़ुदावन्द को इस दुनियां पर प्यार वे करते थे
सो अब हमेशा उसके घर वे खुर्रम रहेंगे
गाते सना सना सना हो ख़ुदावन्द की

Hazaara bachche khade hain

Hazaara bachche khade hain Khuda ke takht ke paas
mohabbat se voh bhare hain aur paate khush miraas
gaate sana sana sana ho Khudaavand kee

Saaph hokar sab gunaahon se ve rahate hain khushhaal
pyaare hain Khudaavand ke ve gaate hain nihaal
gaate sana sana sana ho Khudaavand kee

Kis tarah paaya bachchon ne voh umda paaq makaam
ve bach ke sab takleephon se khush rahate hain mudaam
gaate sana sana sana ho Khudaavand kee

Is sabab se kee Yeshu ne bahaaya apna khoon
ve dhoke us mein fazal se aasmaan par hain mamnoon
gaate sana sana sana ho Khudaavand kee

Khudaavand ko is duniyaan par pyaar ve karate the
so ab hamesha uske ghar ve khurram rahenge
gaate sana sana sana ho Khudaavand kee