हवा में है एक गान |
हवा में है एक गान
है आसमान का तारा
दुआ में मन हर आन
रोता बच्चा प्यारा
सितारा है रोशन
है हसीनों का गान
बैतलहम की चरनी में है
शाह ऐ जहान
है खुशी बुलंद
और पैदाइश अजीब
कुंवारी का फर्जंद है
दुनिया का हबीब
सितारा है रोशन
है हसीनों का गान
बैतलहम की चरनी में है
शाह ऐ जहान
इस सितारे का नूर
से जमाना पुरशान
और वह राग जो था दूर
उससे दुनिया शादमान
हर एक घर है मसरूर
है हसीनों का गाना
कुल दुनियां के घरों में है
यीशु सुल्तान
हम उस नूर में मसरूर
और उस राग से हैं शाद
जिससे रात थी मामूर
और आसमान था आबाद
खुश खबर को सुनकर
अब हम होते हैं शाद
मुबारक वह पालने में है
यीशु सुल्तान
Hawa mein hai ek gaan |
Hawa mein hai ek gaan
hai aasmaan ka taara
dua mein man har aan
rota bachcha pyaara
sitaara hai roshan
hai haseenon ka gaan
bethelehem kee charnee mein hai
shaah ai jahaan
Hai khushee buland
aur paidaish ajeeb
kunwaaree ka pharzand hai
duniya ka habeeb
sitaara hai roshan
hai haseenon ka gaan
bethelehem kee charanee mein hai
shaah ai jahaan
Is sitaare ka noor
se zamaana purshaan
aur voh raag jo tha door
usse duniya shaadmaan
har ek ghar hai masaroor
hai haseenon ka gaana
kul duniyaan ke gharon mein hai
Yeshu sultaan
Hum us noor mein masaroor
aur us raag se hain shaad
jisse raat thee maamoor
aur aasmaan tha aabaad
khush khabar ko sunakar
ab hum hote hain shaad
mubaarak voh paalne mein hai
Yeshu sultaan