JAAG UTHO EMAANDAARON

TUNE:

Lyricist: 

जाग उठो ईमानदारो

जाग उठो ईमानदारो,
और हाथ में लो मशाल,
अन्धेरा हुआ जाता,
आजमाओ अपना हाल;
तुम कान और दिल लगा के;
पहरू की सुनो बात
“दूल्हा है आने वाला”
जल्द होगी आधी रात।

मशालें तुम सुधारो,
और डालो उन पर तेल;
मसीहा चला आता,
जल्द होगा उस से मेल;
दुल्हे के इस्तिकबाल को
अब निकलो खुश-निगाह;
आवाज से, दिल लगा के,
तुम गाओ हम्द-उल्लाह।

नादान जो हैं सो सोवें,
बे-खबर और बे-होश;
इन्साफ का खोफ ओ खतर
वे करें फरामोश;
यहूदा का जो बबर
अचनाक आएगा
और अपने दुश्मनों को
हलाक कर डालेगा।

पस जागो ईमानदारो
और हाथ में लो मशाल,
आरास्ता होके करो
दूल्हे का इस्तिकबाल।
वह बोलता है यकीनन,
मैं जल्दी आऊंगा,
और रूह और दुल्हिन बोलती,
ख़ुदावन्द यीशु, आ।

Jaag uṭho emaandaaron

Jaag uṭho emaandaaron,
Aur haath mein lo mashaal,
Andheraa huaa jaataa,
Aazmaao apnaa haal;
Tum kaan aur dil lagaa ke;
Paharuu kii suno baat
Duulhaa hai aane waalaa”
Jald hogii aadhii raat.

Mashaalen tum sudhaaro,
Aur daalo un par tel;
Masihaa chalaa aataa,
Jald hogaa us se mel;
Dulhe ke istiqbaal ko
Ab nikalo khush-nigaah;
Aawaaz se, dil lagaa ke,
Tum gaao hamd-ullaah.

Naadaan jo hain so soven,
Be-khabar aur be-hosh;
Insaaf ka khauf o khatar
Ve karen faraam-osh;
Yahudaa kaa jo babar
Achaanak aayegaa
Aur apane dushmano ko
Halaak kar daalegaa.

Pas jaago emaanaadaaron
Aur haath mein lo mashaal,
Aaraastaa ho ke karo
Dulhe kaa istiqbaal.
Voh boltaa hai yaqiinan,
Main jaldii aaoongaa,
Aur ruh aur dulhan boltii,
Khudaavand Yeshu, aa.